Dil bache kyunkar butonki chashm-e -shokh-o-sang se
Apna ghar toh suujhta hai saik.don farsang se
Ek bhi nikle na meri se fughaan-e-dil -kharaash
Garche khuun tapke guluu-e-murgh-aahaang se
Chhup ke baithega ka kahan tu humse.aye rangiin-navaa,
Hogaa tu jis rang me mil jaenge us rang se
Bal be-baarikii goya hai tere taar-e-sukhan,
Jantarii me khiinch ke niklaa hai dahaan-e-tang se
Aye taghaful-kesh jaldi aa ki tu vaaqif nahin,
Iss dil-e-betaab jaan-e-muztarib ke dhang se
Josh-e-girya se rahi barsaat barso par kabhi
Uski tegh-e-tez aaluudaa nahin dekhi zang se
Mere girye ke asar se ho gai patthar bhi aab,
Jharte hain jaa-sharar paani ke qatre sang se
Zauq zebaa hai jo riish-e-sufed-sheikh par,
Vasma aab-e-bang se mehndi mai-gul-rang se